Experiences Shared By Kamali Companions


Waqar Ahmad Awan

Kitab "Hal-e-Safar (Az Farsh Ta Arsh) Kia Hay?
5/10 Minutes K Liye Ye Message Parhen,Moqadar Ap Ka Muntazar Hay,InshaAllah
<<<Please Share It To All Your Contacts>>>
AlHamdolillah Kitab "Hal-e-Safar (Az Farsh Ta Arsh)" Haqeeqatan Bamutabiq Farmaan-Nabvi (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Zikr-e-Khaffi Ism-e-Zaat "Allah" Aur SILSALA AWASIA KAMALIA Se Mansoob Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un K Intehaee Mahboob Tareen Darud "Darud-e-Kamaali" (Please See Page-90 of Hal-e-Safar) Ki Ziada Se Ziada Tarveej-o-Ashayat Aur Qurb-e-Ilahee k Husool K Liye Rehnuma Kitab Hay!!!

Waze Rehay Ye Kitab Az-Awal-Ta-Aakhir Rohaani Taur Pr Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un Ki Khasoosi Hadayat Pr Likhkhi Gaee ( Please See Page-84 to 86 & 144)!!!!

Is K Alawa Kitab Sharoo Karne se Pehle Safa# 100 Pr Mahboob-e-Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Professor Bagh Hussain Kamal (Rehmatullah) Unko Nabi (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un Ki Taraf Se Roohani Taur Par Mansib-e-Abad Pr Faez Kiay Jane/ Inayaat-e-Inhaamat Se Nawazne Aur Darbar-e-Aqdas Se Roohani Silsila,,, Jis Ka Faiz Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Unki Zaati Nigraani Mn Ta Qiamat, InshaAllah, Jari Rahay Ga,,,Aur Kuch Ghair Mamooli Bashartoon Ke Ata Frmae Jane Se Mutalliq Molahiza Se Qabal Kitab ke Safa # 102 Ki Pehli Paanch (5) Satroon (Maray Ahwaal aur Bashartoon K Bare........Kaanth Chaanth Karwaee Gaee) Zaroor Mutaalia Frma Lain.

Mn.., Raqam-al-Haroof, Silsila Awasia Kamalia Ka Adna Tareen Naukar Aur Mahboob-e-Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Hazrat Gi Bagh Hussain Kamaal (Rehmatullah)Un K Jootay Seedhay Karne Wala Nacheez-o-Khaksaar,,, Eeman Ki Had Tak Ap Ko Yaqeen Dalata Hoon K Iss Kitab Ko Agar Yaqeen Aur Ikhlaas Ke Saath Baar Baar Parha Jae Tau Har Dafa Nae Roohani Haqaa'eq Kafiaat Ap Par Munkashaf Hoti Chali Jaeen Gi Aur Ap K Yaqeen, Eeman Aur Itminaan Ke Liye Nabi (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un K Jootoon Ke Sadqe, Silsala Awasia Kamalia Aur Mahboob-e-Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Gazrat Gi Bagh Hussain Kamaal (Rahmatullah) un K Kamaal Faiz Ki Badolat ALLAH RAB-UL-IZZAT, InshaAllah, Apne Khas Fazal-o-Karam Se Ap Ko Itminaan Aur (SHAHID-MAY BE) Mushahida Bi Ata Frma Dain!!!

Yaad Rakhain Iss Kitab Ke Safa# 84 Par Rasulullah (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Fermate (Blke Gilla Frmate) Hain K Quran Ki Waze Ayat (InAllah'ha Wa Malaekatohu.....) Aur Meri (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Ki (Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allah Wali Hadees---Qiamat K Din Mare Sab Se Ziada Qareeb Wo Ho Ga Jis Ne Muj Par Sab Se Ziada Darud-e-Pak Parha Ho Ga) Hadees K Bawjood Hukm(Hukam-e-Darud) Par KmaHaqohoo Tawaja Na Di----Aur Tamam Zahaad-o-Ibaad Ne Nawafil, Talawat Aur Tasbeehat Par Tawaja Markooz RakhKhi...Unhoon Ne Darud Shareef Par Wo Tawajoo Na Dee Jis Ka Taqaza Rab-e-Kareem Ne Kia Tha.

Bhayoo Aur Bhen'oo! Ye Kitab Haqeet Main Soba-o-Sham Kam-Az-Kam 5/10 Minutes Zikr-e-Khaffi Ism-e-Zaat "ALLAH" aur Nabi (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un Ki Khaish K Motabiq Har Waqat Kasrat Se Darud-e-Pak Parhne Ki Targheeb-o-Tarveez Ka Nuskha-e-Keemya Baraza-e-Allah (Jallajalaluhoo)-o-Nabi-e-Pak (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Hay!!! Aur Yehee Silsala Awaisia Kamalia Ka Khasa Hay!!!

Ap Nabi (SalAllahHoAleyHayWaAaleheeWasalam) Un Ki Aur Unke Mahboob Hazrat Gi Professor Bagh Hussain Kamal (Rhamatulla) Un Ki Nazr-e-Faiz Ke Mustahiq Hone K Liye Roozana Gin Kar Darud-e-Kamali Ka Mamool Banaen, Apna Halqa Banaen, Darud-e-Pak Ki Tadat Hafta War Jama Karain Aur Aek Achchay Mashghalay Ki Tara Darud-e-Pak Ki Tadat Ko Barhate Jaen...Agle Haftay Darud-Kam Hone Par Afsoos Karen...Aur Iss Kami Ko Poora Karne Ki Kooshish Karte Rahain....Aur Istarah Apne Halqe K Maqbool Darud-e-Pak Ko Karoroon Arboon Mn Le Jaen.... Shaitaan Laheen Ko Beech Mn Na Aane Dain... Allah Pak Ki Madad Ap Ke Saath Hay.... InShaAllah!!!

Iss K Alawa Iss Kitab K Pecheeda Nuqaat Ki Wazahat,,,Hazrat Gi K Bayanaat Aur Mukhtalif Shobajaat Se Munsalik Danishwaroon, PhD Doctoon, Falasfroon Aur Ilmi Shakhsiaat ki Taraf Se Poochay Gae Roohani Sawalaat Aur Un K Sair Hasil Jawabat Pr Mabni Kitaab "KHUTBAAT-E-KAMAL" Bi Roohani Rah Pr Chalne Aur Tazkia Nafas Ki Khaish Rakhne Waloon Ke Liye Rahnuma Hay.

Ye Donoon Katabain Aur Hazrat Gi Ki Aarfana Kalam Par Likhi Gaee Shahir'ee (Poetry) Ki Doosree Kitabain "www.dar-ul-faizaan.com" se pdf Formate mn Muft Download Ki Ja Sakti Hain.

Allah Pak Ham Sab Ke Hami-o-Nasir!!!!!!!!!!!!

Go back